favorite
close
bekwtrust.org
Babajaan's Sayings
Mohabbat Imaan hai
Salaat momineen ki meraaj hai
Salaat huzoor-e-qalb ke baghair nahin hoti
Islaah-e-nafs aur qarb-e-ilahi paane ke liye salaat qayam karo
Jise Allah ki zaat-e-mubarka par kaamil yakeen hojata hai woh javed hojata hai (us ko maut nahi aati)
Allah ki zaat par yakeen na hoto farishton jaisi ibaadat bhi mayne nahi rakhti
Jab insaan paida hota hai toh us ki zindagi ka kathin safar shuru hojata hai. Is safar mein aasani hogi agar banda har lamha khaliq (Allah) ko pesh-e-nazar rakhe
Mureed ki ruhaani taraqqi ka zeena adab hai
Ahl-e-shariyat ki ibaadat — shariyat ke mutabiq ibaadat wa amal aur us ke nisaab se ke mutaabiq aaqebat paana
Ahl-e-tareeqat ka sheva — Allah ki khushnoodi ke liye amal karma aur us ke rang mein rang jaana take hayaat mein hi us ka deedar ho jaaye
Quran rahe pesh-e-nazar yeh hai shariyat— Allah rahe pesh-e-nazar yeh hai tareeqat
Nazar markooz haq pe rakhna bandagi hai — bas apne aap ko pehchaan lena hi zindagi hai
Kufr ke baad bada gunaah dil azaari hai
Insaan ko Allah ki di hui har cheez ka shukr guzaar hona chahiye. Jism ke har aaza ka aur har saans ka shukr adaa karna chahiye
Biography of Babajaan, his teachings and preachings have been given on the home page. Click here to visit Home page.